Aaj itne saalon ke baad
Mujhe woh har pal hai yaad
Nanhi si muskurahatein sath mere
Hasi khushi se jo baatein kare
Unke kal ke sapney meri aankhon me
Din raat yun aise badhe
Kal ko woh mujhe bhool bhi jaaye
Par meri seekhen unhe yaad rahe
Zindagi me har pal jhoojhte hue
Har muskhil ka saamna bekhauf kare
Apne har manzil ko paakar
Duniya me apna naam banaakar
Itni si khwaish rahi hai meri
Hamesha yehi chaahat sunaheri
Har paudhe ko yun seecha jaaye
Ho dhoop ya chaya woh khilta hi jaaye ...
Thursday, April 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Disclaimer & Copyright Info :
This site and the content within represent personal opinions. Unless stated otherwise, all site content is copyright © 2007 -2009 Aditi W. Singh. All Rights Reserved.
Open to requests for a personal touch to your own greetings.
Open to requests for a personal touch to your own greetings.
No comments:
Post a Comment